qaidi hun sar-e-zulf-e-girah-gir se pahle paband hun paidaish-e-zanjir se pahle sar-gashta hun daur-e-falak-e-pir se pahle gardish mein hun main gardish-e-taqdir se pahle kya lati hai teri nigah-e-qahr ka muzhda daude hue aati hai ajal tir se pahle nalon se unhen hoti hai nafrat ewaz-e-lutf taqdir bigad jati hai tadbir se pahle mara hai mujhe khanjar-e-abru se kisi ne nahlaiyo aab-e-dam-e-shamshir se pahle ghar se tere diwane ne jab panw nikala chhaalon ne qadam le liye zanjir se pahle kis tarah kahun aap ke honton ki halawat lab band hue jate hain taqrir se pahle paband-e-gham-e-zulf ka marna na chhupega pahunchegi khabar nala-e-zanjir se pahle kis hausle par talib-e-didar hai aalam aankhen to lada le koi taswir se pahle be-tab hue yar ki chutki se nikal kar tir aap tadapne lage nakhchir se pahle pane ki nahin dil ka thikana khalish-e-gham jab tak na pata puchhe tere tir se pahle ghabrane se kya kaam 'munir'-e-jigar-afkar tu arz to kar hazrat-e-shabbir se pahle