meri surat se wo anjaan bhi ho sakta hai

meri surat se wo anjaan bhi ho sakta hai
mere milne se wo hairan bhi ho sakta hai

tum to har baat mein dhundo ho munafa lekin
is mohabbat mein to nuqsan bhi ho sakta hai

muskuraate hue phulon ki nazakat pe na ja
koi andar se pareshan bhi ho sakta hai

bewafa jis ko sar-e-bazm kahe jate ho
wo tere ishq mein qurban bhi ho sakta hai

aaj jis shakhs ke shikwe hain tere honton par
kal yahi shakhs teri jaan bhi ho sakta hai

ye zaruri to nahin ishq ho dilli mein faqat
shahr-e-mahbub to multan bhi ho sakta hai

dekho uljho nahin darwesh se hargiz logo
warna phir shahr ye viran bhi ho sakta hai

ab jo pahne hue guzra hai faqiron sa libas
ye gae waqt ka sultan bhi ho sakta hai

tum jise dar pe le aae ho kafir kah kar
ye to bechaara musalman bhi ho sakta hai

hai jo ghunchon se bhara aap ka gulshan 'faisal'
ishq mein ye to bayaban bhi ho sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close