meri tahriron ka mahwar ek be-sar fakhta mera nara khamushi mera payambar fakhta ek aangan qahqahon aur siskiyon se be-khabar chhat pe ek parcham phata sa aur dar par fakhta tere raston ki rukawat shakh ek zaitun ki tere aiwanon ke andar jagta dar fakhta sham pyari sham us par bhi koi dar khol de shakh par baithi hui hai ek beghar fakhta ek jaanib ujle pani ka bulawa aur hua dusri samt ek akeli aur be-par fakhta