ye sahra mera hai jhelam chanab us ki taraf turab meri taraf aur aab us ki taraf na jaane kis ne banai hai doghli taswir hain khar meri taraf aur gulab us ki taraf zaban meri hai alfaz hain mere lekin hai baat-chit ka lab-o-labab us ki taraf meri ghazal ke muqaddar mein pyas aai hai kashid ki hui umda sharab us ki taraf koi muamma kabhi is tarah bhi ho maula sawal meri taraf hun jawab us ki taraf yun apna nama-e-amal kar liya taqsim gunah meri taraf hain sawab us ki taraf zarur puchhunga taqsim karne wale se rakha hai kis liye sara shabab us ki taraf kisi ne nam se mere uchhaala jab patthar ubharne lag gaya ek inqalab us ki taraf jo khud se puchha ki 'fani' main jaun kis raste ishaara karne lagi hai rikab us ki taraf