meri takhliq hui jis ki tag-o-taz ke sath wahi zarra mujhe takta hai bade naz ke sath jurm ke baad khula dil pe dar-e-khauf-e-saza zehan bedar hua subah ke aaghaz ke sath main ne bhi tod diya khak ki khushbu ka tilism kho gaya main bhi khalaon mein bade raaz ke sath phir meri rah mein hail hai wahi koh-e-sukut main ne kata tha jise tesha-e-awaz ke sath dhundhti phirti hai kirdar ko tamsil-e-gunah rat-jage khatm hue 'khalid'-e-shiraaz ke sath