ab ayaadat ko meri koi nahin aaega phir hun bimar kisi ko na yaqin aaega gham musalsal ho to ahbab bichhad jate hain ab na koi dil-e-tanha ke qarin aaega apne khwabon ke darichon mein jala lo shamen aur ye soch lo ek mah-jabin aaega phir nigar-e-chaman-e-wadi-e-farda-e-bahaar gul-ba-dast-e-mah-o-anjum ba-jabin aaega zehn-e-taza ke liye saz-e-haqiqat chhedo chain ise sirf takhayyul se kahin aaega sirf apne hi azaem pe bharosa kar le kaam koi bhi na ai qalb-e-hazin aaega roz puja ke liye phul sajata hai 'salam' jaane kab us ka khuda su-e-zamin aaega