meri taraf se nigahen to wo hata lega wo apne zehn se kaise mujhe nikalega labon pe phul mohabbat ke jo saja lega use harif bhi badh kar gale laga lega gunahgar na ban us ko bad-dua de kar ghurur us ka use khud hi mar dalega har ek aag ko wo raushni samajhta hai main chuk jaun to wo ungliyan jala lega bahut sambhaal ke rakkha hai aansuo tum ko meri tarah tumhein aankhon mein kaun palega agar junun ki had se guzar gaya dariya to apne sath wo 'sahil' ko bhi baha lega