daur-e-falak jab dohraata hai mausam-e-gul ki raaton ko kunj-e-qafas mein sun lete hain bhuli-bisri baaton ko reg-e-rawan ki narm tahon ko chhedti hai jab koi hawa sune sahra chikh uthte hain aadhi aadhi raaton ko aatish-e-gham ke sail-e-rawan mein ninden jal kar rakh huin patthar ban kar dekh raha hun aati jati raaton ko mai-khane ka afsurda mahaul to yunhi rahna hai khushk labon ki khair manao kuchh na kaho barsaton ko 'nasir' mere munh ki baaten yun to sachche moti hain lekin un ki baaten sun kar bhul gae sab baaton ko