meri thakan mere qasd-e-safar se zahir hai udas sham ka manzar sahar se zahir hai na koi shakh-e-ibarat na koi lafz ka phul ye ahd banjh hai qaht-e-hunar se zahir hai jo puchha kya huin shakhen samar-ba-dast jo thin kaha ki dekh lo sab kuchh shajar se zahir hai faqat ye wahshat-e-izhaar hai ilaj nahin ye bojh yun nahin utrega sar se zahir hai main apni rakh mein khwahish dabae baitha hun ye aag jal ke rahegi sharar se zahir hai wo umr-bhar ki asiri mili tamanna ko gharib mar ke hi niklegi ghar se zahir hai tu reza reza talluq se ghar bana 'shahid' magar ye dasht to diwar-o-dar se zahir hai