na aasman se na dushman ke zor o zar se hua ye mojaza to mere dast-e-be-hunar se hua qadam utha hai to panw tale zamin hi nahin safar ka ranj hamein khwahish-e-safar se hua main bhig bhig gaya aarzu ki barish mein wo aks aks mein taqsim chashm-e-tar se hua siyahi shab ki na chehron pe aa gai ho kahin sahar ka khauf hamein aainon ke dar se hua koi chale to zamin sath sath chalti hai ye raaz hum pe ayan gard-e-rahguzar se hua tere badan ki mahak hi na thi to kya rukte guzar hamara kai bar yun to ghar se hua kahan pe soe the 'amjad' kahan khulin aankhen guman qafas ka hamein apne baam-o-dar se hua