meri udasi ka naqsh-e-pa hai udas lafzon ka ek jangal

meri udasi ka naqsh-e-pa hai udas lafzon ka ek jangal
ye gham ki raaton ko jaanta hai udas lafzon ka ek jangal

kisi ki aankhon mein dhire dhire utar raha hai nami ka baadal
qalam se kis ke nikal raha hai udas lafzon ka ek jangal

shikasta kaghaz par aansuon ka bana hua hai jo ek talab
wo meri aankhon se bah raha hai udas lafzon ka ek jangal

uthai kal raat diary aur main ne kar dali dali aatish
so sath us ke hi jal gaya hai udas lafzon ka ek jangal

ki dil mein jitni aziyyaten thin qalam se 'tahir' unhen likha hai
ghazal ki surat mein dhal chuka hai udas lafzon ka ek jangal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close