moajiza ye hai ki manzil ke nishan tak pahunche

moajiza ye hai ki manzil ke nishan tak pahunche
barf ke log bhi suraj ke jahan tak pahunche

kitne mitti ke badan tez hawaon ke tufail
kaghazi naw mein pani ke makan tak pahunche

main ki zulmat mein muqaffal hun kabhi mere khuda
subh ki pahli kiran mere makan tak pahunche

hum wo nadan ki patthar ke khilaune lene
ghar se nikle bhi to shishe ki dukan tak pahunche

barish-e-ashk thami aankh dhanak-rang hui
dub ke dukh ke samundar mein kahan tak pahunche

mauj-dar-mauj girah bandhne 'tahir-hanafi'
hath mein ashk liye aab-e-rawan tak pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close