meri wafa ki mukammal tu dastan kar de jahan pe aag nahin hai wahan dhuan kar de kahin se koi tamanna dua mein aa na sake mere khuda tu mere dil ko be-zaban kar de wo jis ke lams se patthar bhi ruh pa jae us ek shakhs ko mujh par bhi mehrban kar de bahut suna hai tere moajazon ke bare mein mere bhi zakhm-e-jigar ko tu kahkashan kar de main apne dil ki har ek baat us se kah dunga sune to sunta rahe wo kahe to han kar de yahan pe kuchh na ho bikhri hui sada ke siwa mere wajud ko ujda hua makan kar de main apni qabr mein zinda pada hua hun 'arsh' alag alag to koi mere jism-o-jaan kar de