nam aankhon mein kya kar lega ghussa dekhenge os ke upar chingari ka lahja dekhenge shishe ke bazar se le aaenge kuchh chehre wahi pahan kar hum ghar ka bhi shisha dekhenge kitni dur talak jaegi zabt ki ye kashti kitna gahra hai is dard ka dariya dekhenge dariya ke pichhe pichhe hum sahra tak aae kis manzil ko le jae ab sahra dekhenge ruthne wali khat padh kar fauran hi laut aain hum ne likha tha sale lagi hai kapda dekhenge kuchh din mein dil ka kho jaana bilkul mumkin hai kahta hai hum bade hue ab duniya dekhenge