meri wirasat mein jo bhi kuchh hai wo sab isi dahr ke liye hai ye rang ek khwab ke liye hai ye aag ek shahr ke liye hai agar isi raat ki siyahi ke sath kho jaenge sitare to phir ye mere lahu ka raushan charagh kis lahr ke liye hai tulu-e-imkan-e-arzu par yaqin rakhti hai ek duniya magar ye be-kar khwahishon ki numud ek zahr ke liye hai kanar-e-dariya hai ek maddham ghubar kis dasht ka padaw darun-e-sahra ye aab-e-haiwan ka naqsh kis nahr ke liye hai ye khwab hote hue sahifon ke phul mere liye hain lekin zamin-e-dil par ye aayaton ka nuzul ek dahr ke liye hai bas ek insan ki khushi hai kisi haqiqat ki ru-numai magar kisi khwab ke ziyan ka malal ek shahr ke liye hai agar hai insan ka muqaddar khud apni mitti ka rizq hona to phir zamin par ye aasman ka wajud kis qahr ke liye hai