rah kar ke us but-e-gumrah ne dhoka diya gir pade andhe kunen mein chah ne dhoka diya ho gae maghrur mujh ko aashiq apna jaan kar hae is dil ka bura ho aah ne dhoka diya jaan kar us but ka ghar kabe ko sajda kar liya ai barahman mujh ko baitullah ne dhoka diya main ne jaana baal munh par khol kar aae huzur chhup kar abr-e-tar mein qurs-e-mah ne dhoka diya shekh sahab aap ko but-khane mein laya 'munir' pir-o-murshid banda-e-dargah ne dhoka diya