meri zaban ki ibarat hai guftugu teri mere fasane ka unwan hai aarzu teri abas ki mujh pe hai ilzam-e-khud-faramoshi haram se der mein lai hai justuju teri fareb-e-nikhat-e-gul se bacha ke daman-e-dil zaban-e-khar se sunta hun guftugu teri hijab mein bhi tujhe be-hijab dekh liya har ek phul mein chehra tera hai bu teri zamana talib-e-didar hota jalwa-e-naz bachi hai tur ke jalne se aabru teri raha na parda salamat jamal-e-parda-nashin gulon ne khinch li taswir hu-ba-hu teri gharaz hai dair se mujh ko na fikr kabe se main apne aap mein karta hun justuju teri jo dekha ramz ki aankhon mein baad marne ke khinchi thi putli mein taswir hu-ba-hu teri