use pane ki karte ho dua to magar us se bhi kal ji bhar gaya to yaqinan aaj hum ek sath hote agar karte zara sa hausla to chale ho rahnuma kar ilm ko tum tumhein is ilm ne bhatka diya to samajh sakte ho kya anjam hoga tumhaare war se wo bach gaya to bahut masruf tha mahfil mein mana nahin kuchh bolta par dekhta to kisi ko chahti hai puchh lun kya jawab is ka magar han mein mila to main achchha hun tabhi apna rahi ho koi mujh se bhi achchha mil gaya to bahut nazdik mat aaya karo tum kahin kuchh ho gai hum se khata to bahut se kaam kal karne hain mujh ko magar ai zindagi kal na hua to ghulami mein jakad lega koi phir watan aise hi gar lutta raha to use phir kaun marega batao gham-e-hijran ne bhi thukra diya to