meri zamin pe lagi aap ke nagar mein lagi lagi hai aag jahan bhi kisi ke ghar mein lagi ajib raqs ki wahshat ki tal hai jis mein ajib tal jo aaseb ke asar mein lagi kiwad band kahan muntazir the aahat ke lagi jo der to dahliz tak safar mein lagi tamam khwab the wabasta us ke hone se so meri aankh bhi bas saya-e-shajar mein lagi hisar-e-zat nahin tha tilism-e-ishq tha wo khabar hui to magar der is khabar mein lagi dahakte rang the jo aasman chhute the khile the phul ki ek aag si shajar mein lagi adhure lafz the aawaz ghair-wazeh thi dua ko phir bhi nahin der kuchh asar mein lagi palat ke dekha to bas hijraten thin daman mein agarche umr yahan ek guzar-basar mein lagi parind laut kar aae the kin zaminon se kahan ki dhul thi jo un ke baal-o-par mein lagi