jo sair-e-anjum-o-khurshid ka irada kiya ghubar rakht-e-safar aur junun jada kiya bahut se kaam kiye hain teri talab mein magar ye kar-e-dard zarurat se kuchh ziyaada kiya faza-e-hosh-o-khirad mein bada andhera tha so hum ne aankh mein raushan charagh-e-baada kiya badha jo gham kisi lamhe teri judai ka to hum ne jaan ke ziyan se bhi istifada kiya wo rang-e-husn bhi sada tha samne apne so harf-e-arz-e-tamanna bhi hum ne sada kiya