meri zindagi hai tanha tumhein kuchh asar to hota koi dost tum sa hota koi ham-safar to hota ye tamam sae apne chalun kab talak samete koi ham-nashin to hota koi chaara-gar to hota kabhi kuchh guman hota mujhe manzilon ka apni jise apna hum ne samjha wahi rahbar to hota main kahan se laun qismat jo banun tumhaare qabil ki tumhaare ghar ke aage mera koi ghar to hota hai ajib kashmakash mein ye 'saba' ki bandagi bhi kabhi un ke dar ke laeq kabhi mera sar to hota