tujh se tasawwuraat mein ai jaan-e-arzu bandhe hain hum ne sainkadon paiman-e-arzu ai rashk-e-nau-bahaar tere intizar mein kya kya khilae hum ne gulistan-e-arzu phir dil mein dagh-ha-e-tamanna hain zau-fishan phir kar raha hun jashn-e-charaghan-e-arzu dekhe koi ye rabt ki marne ke baad bhi chhuta na dast-e-shauq se daman-e-arzu ab dekhiye guzarti hai kya us ki jaan par ek dil hai aur sainkadon tufan-e-arzu tera khayal tere nazare tera jamal kitne charagh hain tah-daman-e-arzu samjho na hum ko be-sar-o-saman ki hum 'jalis' rakhte hain dil mein ganj-e-farawan-e-arzu