meri zindagi ki kitab mein yahi naqsh hain mah-o-sal ke

meri zindagi ki kitab mein yahi naqsh hain mah-o-sal ke
wo shagufta rang uruj ke ye shikasta rang zawal ke

tere husn se mere ishq tak ye jo nisbaton ke hain silsile
ye shajar hain ek hi bagh ke ye samar hain ek hi dal ke

main sunaun kya koi dastan ki subut-e-gham bhi nahin raha
mere ishq name ko le gaya koi taq-e-jaan se nikal ke

mere bagh mein wo gulab tha ki mahak raha tha chaman chaman
wo jo gum hua to bikhar gae sabhi rang huzn-o-malal ke

koi khwab hai na khayal hai koi aarzu hai na justuju
ye kahan hai la ke bitha diya mujhe qaid-e-jaan se nikal ke

main bhatak raha tha jihat jihat tere naqsh-e-pa ki talash mein
mere sath sath chala kiye kai aks khwab-o-khayal ke

mujhe shahrah-e-hayat par kai aise ghar bhi mile 'ziya'
jahan qumqume na jale kabhi na wo hijr ke na visal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close