meri aankhon mein jo thoDi si nami rah gai hai

meri aankhon mein jo thodi si nami rah gai hai
bas yahi ishq ki saughat bachi rah gai hai

waqt ke sath hi gul ho gae wahshat ke charag
ek siyahi hai jo taqon pe abhi rah gai hai

aur kuchh der thahar ai meri binai ki main
dekh lun ruh mein jo bakhiya-gari rah gai hai

aaino tum hi kaho kya hai mere honton par
log kahte hain ki phiki si hansi rah gai hai

bojh suraj ka to main kab ka utar aaya magar
dhup jo sar pe dhari thi so dhari rah gai hai

kuchh bata ai mare nisyan ye kya majra hai
baat jo bhulne wali thi wahi rah gai hai

yun to is ghar ke dar-o-baam sabhi tut gae
han magar bich ki diwar abhi rah gai hai

sochta hun ki tasawwur ko sametun kaise
bistar-e-khwab pe bhi aankh khuli rah gai hai

jaane kya baat hai mausam mein 'ziya' ab ke baras
dhup ke hote hue barf jami rah gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close