meri zindagi kisi mod par kabhi aansuon se wafa na de teri aankh ki ye ghata kahin yun baras ke mujh ko rula na de wahi chhanw nim ke ped ki wahi sham de ye faza na de gae mausamon ka asir hun nae mausamon ki saza na de mere nakhuda tera shukriya koi aur mujh pe karam na kar teri maslahat ki hawa kahin mera baadban uda na de mere khat ko le ke khushi se wo kai bar chumegi tu magar mujhe dar hai bhiga wo lafz ek mere gham ka qissa suna na de wahi jis ke pyar ki aag ne mere khadd-o-khal jhulas diye mujhe dar hai ab mujhe dekh ke wo nazar se apni gira na de teri shokh aankhon mein barha kai khwab dekhe hain pyar ke tera pyar mera nasib hai kisi aur ko ye wafa na de