is ek baat pe mushkil mein jaan hai koi sune ki chup hai aur karan-ta-karan hai koi sune sada yahi hai ki taran ke harf sunne do magar koi nahin sunta fughan hai koi sune jo nazm bhi hai mohabbat ki nazm lagti hai ki jism-o-jaan mein mohabbat jawan hai koi sune chala gaya hai magar us ke pairahan ki shamim ye kah rahi hai wo ab tak yahan hai koi sune kamal-e-subh ke badle hayat mumkin hai ye baat sher ki surat ayan hai koi sune bahut bada bhi hai 'bedi' ye ret ka sahra safar isi liye ek imtihan hai koi sune