mil chuka mahfil mein ab lutf-e-shakebai mujhe khinchti hai apni jaanib teri angdai mujhe baad marne ke jo hasil hogi ruswai mujhe zindagi kya soch kar duniya mein tu lai mujhe ishq mein yun husn ki surat nazar aai mujhe wo tamasha ban gae kah kar tamashai mujhe khud pukar uthta junun takmil-e-wahshat ho gai wo samajh lete jo dil mein apna saudai mujhe ho gaya kohram barpa khana-e-sayyaad mein baithe baithe aashiyan ki yaad jab aai mujhe kal tha main kabe mein maujud aaj but-khane mein hun chain deta hi nahin shauq jabin-sai mujhe aaina bhi tha koi kya zindagi ka aaina dekhne par maut ki surat nazar aai mujhe zindagi ki kashmakash se dast-kash hona pada naza mein yaad aa gai jab un ki angdai mujhe khul gai chashm-e-basirat khak mein milne ke baad dil ke har zarre mein ek duniya nazar aai mujhe hazrat-e-'bismil' ye achchhi dil ko sujhi dil-lagi kar diya shamshir-e-qatil ka tamannai mujhe