khizan-nasib ki hasrat ba-ru-e-kar na ho bahaar shoabada-e-chashm-e-intizar na ho fareb-khurda-e-ulfat se puchhiye kya hai wo ek ahd-e-mohabbat ki ustuwar na ho nazar ko tab-e-nazara na dil ko jurat-e-did jamal-e-yar se yun koi sharmsar na ho qaba-darida-o-daman-o-astin khunin gulon ke bhes mein ye koi dil-figar na ho na ho sakega wo ramz-ashna-e-kaif-e-hayat jo qalb chashm-e-taghaful ka raazdar na ho tariq-e-ishq pe hansti to hai khirad lekin ye gumrahi kahin manzil se ham-kanar na ho na tana-zan ho koi ahl-e-hosh maston par ki zoam-e-hosh bhi ek aalam-e-khumar na ho wo kya batae ki kya shai umid hoti hai jise nasib kabhi sham-e-intizar na ho ye chashm-e-lutf mubarak magar dil-e-nadan payam-e-ishwa-e-rangin sala-e-dar na ho kisi ke lab pe jo aae nawed-e-zist bane wahi hadis-e-wafa jis pe eatibar na ho jo do-jahan bhi mange to main ne kya manga wo kya talab jo ba-qadr-e-ata-e-yar na ho