mil hi jaani thi munasib koi qimat mujh ko tu ne samjha hai magar mal-e-ghanimat mujh ko meri ninden hi sabab hain meri bedari ka mere khwabon se hi hoti hai aziyyat mujh ko ek rishte ko bachane ke liye aathon pahar karni padti hai amanat mein khayanat mujh ko sochta hun ki nikal aaun main bahar ghar se dhundhti phirti hai kuchh roz se shohrat mujh ko mujh se badh kar hi nahin koi bhi ab mera harif khud se har waqt hi rahti hai shikayat mujh ko ab to har lamha jhuka hai ye ana ka palda mahngi padne lagi ab meri sharafat mujh ko tha karam kam hi kahan mujh pe mere malik ka dekhne ki hi mili na kabhi fursat mujh ko khud ko rakh chhoda hai ab main ne hawa par 'wahid' le ke jati hai kidhar dekhiye qismat mujh ko