mil jae aman duniya mein pal bhar nahin lagta

mil jae aman duniya mein pal bhar nahin lagta
pa jaen sukun daimi mar kar nahin lagta

pani ki talab lai kahan se ye kahan pe
sahra sa to lagta hai ye sagar nahin lagta

is kucha-e-dilbar mein ye kya khak udi hai
wo to nahin us ka koi ham-sar nahin lagta

ek roz na mil paen guzara nahin hota
har roz hi milte hain ye mil kar nahin lagta

har din ki tarah din bhi ye kate se katega
ye shab bhi guzar jaegi aksar nahin lagta

kuchh din se ajab be-kali ghere hai tasawwur
kuchh din se mujhe apna hi ghar ghar nahin lagta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close