mil jae koi ghar jo tere ghar ke aas-pas

mil jae koi ghar jo tere ghar ke aas-pas
darban ki tarah main rahun dar ke aas-pas

chaaron taraf hujum ye kyon hairaton ka hai
kya aaine lage hain tere ghar ke aas-pas

yun murgh-e-dil hai aatish-e-furqat ke darmiyan
rahti hai aag jaise samundar ke aas-pas

hum mast mangte hain dua ye utha ke hath
baithen mudam shisha-o-saghar ke aas-pas

zeba hai munh jo halqa-e-zulf-e-siyah mein ho
haala zarur hai mah-e-anwar ke aas-pas

'shaida' jo un ko ghere hain aghyar raat din
kanton ke bhi hain dher gul-e-tar ke aas-pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close