qatl-gah mein jab kisi saffak ka KHanjar uTha

qatl-gah mein jab kisi saffak ka khanjar utha
waste tazim ke tan se hamara sar utha

jab kabhi pahlu se mujh mahzun ke wo dilbar utha
dard sine mein jigar mein dil mein rah-rah kar utha

garm-joshi se raqibon ki hua aisa malal
teri mahfil se misal-e-shama main ro kar utha

khak bhi jamne nahin deti hai aashiq ke qadam
wo pari kahti hai saye se mere bistar utha

chahta hai tu agar taj-e-sar-afraazi-e-dahr
chaar din ke waste munim na bar-e-zar utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close