mil ke ek bar use yaad nahin hone ke

mil ke ek bar use yaad nahin hone ke
dil ke ujde nagar aabaad nahin hone ke

ab nae zulm to ijad nahin hone ke
sahiba hum koi fariyaad nahin hone ke

sachche ushshaq to napaid hue duniya mein
ab koi shirin-o-farhad nahin hone ke

dil mein thani hai bhula den tumhein dhire dhire
aur is ishq mein barbaad nahin hone ke

ek wade ne yun pa-basta kiya hai hum ko
ab kisi taur bhi aazad nahin hone ke

hum ne har haal mein jine ki qasam khai hai
hum kabhi zist mein nashad nahin hone ke

ek kam-zarf se kya zarf ki umid karen
hain jo baune kabhi shamshad nahin hone ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close