pahle atlas mein jo malbus kiye jate hain phir wo aiwanon mein mahbus kiye jate hain main unhen hita-e-tahrir mein laun kaise dard likkhe nahin mahsus kiye jate hain baal-o-par kat ke den izn-e-rihai kyun-kar un parindon ko jo manus kiye jate hain itni aasan nahin hoti hai ye rah-e-sukhan par is mein kai qamus kiye jate hain in pe to aap hi jhuk jati hai rab ki rahmat jo bhi is duniya se mayus kiye jate hain kyon na hon zer-o-zabar takht-e-'masarrat' un ke raqs jab saya-e-taus kiye jate hain