mila bhi kya use tauhin-e-rang-o-bu kar ke

mila bhi kya use tauhin-e-rang-o-bu kar ke
gaya chaman se chaman ko jo be-numu kar ke

the khush-guman ki kisi khush-sukhan se wasta hai
bahut malal hua us se guftugu kar ke

thi sare shahr ko bimari-e-giran-goshi
so chup watira kiya hum ne haw-hu kar ke

hamari subhon ke bai-name likhne walon ne
hamein siyah kiya khud ko surkh-ru kar ke

sagan-e-kucha-o-bazar se raho hushiyar
rihai dete hain 'mohsin' lahu lahu kar ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close