mila hai jism ki us ka guman mila hai mujhe wo hath aa ke bhi aksar kahan mila hai mujhe main sirf dekh hi sakta hun chashm-e-sahil se ki wo badan ajab aab-e-rawan mila hai mujhe farokht kar ke khasare mein aa gaya bazar to soch lo ki wo kitna garan mila hai mujhe achanak aaj mera zakhm baat karne laga bahut dinon mein koi ham-zaban mila hai mujhe hamesha der se pahuncha main us ki mahfil mein bajae aag hamesha dhuan mila hai mujhe ajab kashakash-e-iman-o-kufr rahti hai wo but hamesha ba-waqt-e-azan mila hai mujhe ulat ke rakh diya 'ehsas' ne hisab-e-umr wo roz kal se ziyaada jawan mila hai mujhe