sach agar puchho to na-paida hai yak-ru aashna sare aalam mein jo hon shayad to yak do aashna hazir o ghaeb ho yaksan zahir o baatin ho saf is tarah ka kam nazar aaya hai yaksu aashna hum wo mukhlis hain ki aankhen dekhte guzri hai umr ji nikal jawe jo ho hum se kaj-abru aashna sare aalam se karun main tark rasm-e-dosti mujh se howe ai mere dushman agar tu aashna kis ke kuche mein tu ho nikli thi han sach kah nasim tujh mein jo bu hai so hai muddat se ye bu aashna jaan-ba-lab hun main to in yaron ki khush-khalqi ko dekh hai maaz-allah jo ho sohbat mein bad-khu aashna ek bhi hum ne na dekha dost 'hatim' baad-e-marg hai takalluf-bar-taraf ku yar aur ku aashna