mila hua kabhi sine se un ke sina tha

mila hua kabhi sine se un ke sina tha
ajab wo roz the ya-rab ajab mahina tha

adam mein ja ke kahenge har ek se hum bhi
abas fuzul jahan mein hamara jina tha

dagha raqib ne ki aap se to kya shikwa
zamana us ko kahega ki wo kamina tha

ye kya ki yunhi chale mai-kade se hazrat-e-shaikh
tumhein khuda ki qasam koi ghunt pina tha

jo tum ne sina mera chaak-chaak kar dala
har ek zakhm ko tar-e-nigah se sina tha

mahak raha tha mera ghar tamam wasl ki shab
wo itr-bez kisi ka bhi kya pasina tha

nahin hai dil jo hamara to shab ko mahfil mein
zara khayal karo khud hi kis ne chhina tha

jo tum ne lete hi jaldi se us ko tod diya
hamara dil tha koi ya ye aabgina tha

wo rind hun ki zaban par bhi waqt-e-marg meri
surahi-o-khum-o-jam-o-ayagh-o-mina tha

yahan rahi ki wahan pahunchi 'ranj' ki mayyat
zaban pe us ki magar raat-din madina tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close