mujh par un ka itab ho hi gaya jaan par ek azab ho hi gaya dil mera aakhir ai gham-e-jaanan tere hathon kharab ho hi gaya lakh chaha bachae is se khuda ishq-e-khana-kharab ho hi gaya ghair ne imtihan de hi diya be-haya kaamyab ho hi gaya mai-kade se gaya jo masjid ko mujh ko hasil sawab ho hi gaya aap ka aur mera afsana shahr mein intikhab ho hi gaya aakhir ek roz wo but-e-kafir husn mein la-jawab ho hi gaya us ne ki ghair ki taraf-dari ye bhi roz-e-hisab ho hi gaya ghash hai zahid sharab-e-kausar par us ko shauq-e-sharab ho hi gaya dekhna nama-bar ki tarrari ye bhi hazir-jawab ho hi gaya dushmanon ki murad bar aai doston par itab ho hi gaya ek do waqt ke wo milne mein ghair se be-hijab ho hi gaya wo na utthe baghair jaan liye un ka maqsad shitab ho hi gaya baaton baaton mein 'ranj' 'ranj' un se aakhir ek din janab ho hi gaya