mila jo kaam gham-e-mo'tabar banane ka hunar us aankh ko aaya na ghar banane ka tujhi se khwab hain mere tujhi se bedari tujhe saliqa hai sham-o-sahar banane ka main apne pichhe sitaron ko chhod aaya hun mujhe dimagh nahin ham-safar banane ka ye mere hathon mein patthar hain aur raat hai sard main kaam leta hun un se sharar banane ka sarae mein koi ek shab ruke to baat hai aur magar sawal hai duniya ko ghar banane ka makan ke naqshe pe diwar likh diya kis ne yahan to mera irada tha dar banane ka ye aur baat ki manzil-fareb tha lekin hunar wo jaanta tha ham-safar banane ka wo log kashti o sahil ki fikr kya karte jinhen hai hausla dariya mein ghar banane ka har ek tukhm ko rizq-e-shikam-puri na samajh hunar bhi sikh zamin se shajar banane ka bahut tawil meri dastan-e-gham thi magar ghazal se kaam liya mukhtasar banane ka