bulbulo baghban ko kyun chheda tum ne saz-e-fughan ko kyun chheda mujh ko us turk se ye shikwa hai dil pe rakh kar sinan ko kyun chheda na bula lae mujh sa diwana sangsar-e-jahan ko kyun chheda ai huma! aur khane the murde mere hi ustukhan ko kyun chheda bahla nadim ho ji mein kahta hai main ne is momiyan ko kyun chheda phir gaya mujh se jo mizaj us ka gardish-e-asman ko kyun chheda dur se us ne meri surat dekh tosan-e-khush-inan ko kyun chheda dastan apni mujh ko kahni thi qissa-e-in-o-an ko kyun chheda qissa-khwan aur lakh qisse the tu ne zikr-e-butan ko kyun chheda jis se kal mujh ko aa gai thi ghashi phir usi dastan ko kyun chheda 'mushafi' ghar ke ghar jala dega aise aatish-zaban ko kyun chheda