mila na dair-o-haram mein kahin nishan un ka had-e-nigah se bahar hai aastan un ka nigah milte hi hum dil pakad ke baith gae laga jo tir-e-nazar aa ke na-gahan un ka kiye hain rah-e-wafa mein wahin wahin sajde mila hai naqsh-e-kaf-e-pa jahan jahan un ka hate na rah-e-wafa se wafa ke diwane hazar bar liya tum ne imtihan un ka base hue hain wo aise meri nigahon mein kabhi kabhi mujhe khud par hua guman un ka jinhon ne josh-e-wafa mein bigad li hasti zamana aaj bhi leta hai imtihan un ka hazar dair-o-haram sadd-e-rah hue ai 'saif' talash kar hi liya dil ne aastan un ka