mila na kaam koi umr-bhar junun ke siwa tamam aish mayassar rahe sukun ke siwa lagi wo aag ki diwar-o-dar bhi chal nikle koi muqim nahin ghar mein ab sutun ke siwa main us ke jism ki bekal pukar sun bhi chuka ab us ki aankh mein rakkha hai kya fusun ke siwa padi wo dhup ki sab rang pad gae pile bacha nahin hai koi surkh mere khun ke siwa tamam fan ki bina madd-o-jazr dil hai 'naim' ki sher-o-naghma mein kya mauj-e-andrun ke siwa