mujh ko koi bhi sila milne mein dushwari na thi sab hunar aate the lekin aql se yari na thi jin dinon ikhlas mein thodi si ayyari na thi husn ke darbar mein sabit wafadari na thi sar-kashi ke ahd-namon ki hifazat ke liye mere qalb-o-jaan se behtar koi almari na thi jin usulon ke liye jina bahut mushkil hua un ki khatir jaan de dene mein dushwari na thi husn hi ka wo ilaqa tha jahan sab kuchh mila ishq ki apni alag koi zamin-dari na thi sab pareshan hain ki aakhir kis waba mein wo mere jin ko ghurbat ke alawa koi bimari na thi kis tarah baad-e-fana se main bacha leta use us ghazal paikar mein koi fan ki chingari na thi roz ek muzi ko neze par uthata tha 'naim' inqilabi quwwaton ki jab samajhdari na thi