mila na khet se us ko bhi aab-o-dana kya kisan shahr ko phir ek hua rawana kya kahan se lae ho palkon pe tum guhar itne tumhaare hath laga hai koi khazana kya faza ka habs kisi taur ab nahin jata ki talkh dhup kya mausam koi suhana kya tamam tarah ke samjhaute karne padte hain miyan mazaq grihasti ko hai chalana kya gunah kuchh to mujhe be-tarah lubhate hain ye raaz khol hi deta hun ab chhupana kya ho dushmani bhi kisi se to daimi kyun ho jo tut jae zara mein wo dostana kya khabar-nawes nahin hun main ek shaer hun tamam misre hain mere naya purana kya na dhar le rup kabhi jhonk mein talatum ka wo narm-rau hai nadi ka magar thikana kya karo to munh pe malamat karo meri 'saurabh' ye meri pith ke pichhe se phusphusana kya