ye ghar jo hamare liye ab dasht-e-junun hai aabaad bhi rahta tha kabhi apno ke dam se sau bar isi tarah main mar mar ke jiya hun derina talluq hai mera maqtal-e-gham se ye jina bhi kya jina hai sar phodna thahra qismat ko hai jab wasta patthar ke sanam se bas itna ghanimat rahe un se ye talluq hum apne ko badlen na wo baz aaen sitam se aawaz na do 'shams' ko tadpega bichaara aazad to ho jae zara band-e-alam se