mila raha hun tera husn kaenat ke sath physics khol ke baitha hun diniyat ke sath ye poster to bhala hai magar padhe-likkho zara sa dil bhi to rakkho qalam dawat ke sath ye ishq ek diya har taraf dikhata hai main ji raha hun tawatur se mojazat ke sath bahut qadim nahin kal ka waqia hai ye main is zamin pe utra tha teri zat ke sath guzar raha hun kisi dil-nashin sarae se mila raha hun main khwabon ko waqiat ke sath