mila tha koi sar-e-rah ajnabi ki tarah aziz lagta hai jo mujh ko zindagi ki tarah wo ek shakhs andheron mein jis ne chhod diya wo ab bhi rahta hai aankhon mein raushni ki tarah ye aarzu meri barson ki hai ki aap milen farishta ban ke nahin ban ke aadmi ki tarah samet rakkha tha jis kahkashan ko daman mein wo ghar mein utri hai ek taza raushni ki tarah hum is liye hi to palken bichhae rahte hain bahut aziz ho tum hum ko shaeri ki tarah wo ek sach meri aankhon mein hai 'kiran' ab bhi jo khwab ban ke raha dil mein raushni ki tarah