aao ki abhi chhanw sitaron ki ghani hai phir sham talak dasht-e-gharib-ul-watani hai kuchh bhi ho magar husn ki fitrat mein abhi tak pabandi-e-rasm-o-rah-e-khatir-shikani hai mat puchh ki kya rang hai zabt-e-gham-e-dil mein har ashk jo pita hun wo hire ki kani hai shair ke takhayyul se charaghon ki lawon tak har chiz teri bazm mein taswir bani hai tum jis ko bahut samjhe to ek bund lahu ki puchho mere daman se aqiq-e-yamani hai malum hua jab ki raha kuchh bhi na dil mein bas ek nazar qimat-e-duniya-e-dani hai iblis ho suqraat ho sarmad ho ki mansur khud-agahi har shakl mein gardan-zadani hai maqsud na bulbul hai na tuti hai na qumri matlab to chaman walon ka nawak-fagani hai aasaish-e-geti hai saza be-hunari ki aazurdagi-e-dil sila-e-khush-sukhani hai kin phul fazaon ki tawaqqo mein pade ho hoshyar ki yan zauq-e-saba shoala-zani hai aao chalen us anjuman-e-bul-hawasan se aatish-nafasai hai na jahan gul-badani hai 'shohrat' se kabhi jaan talab kar ke to dekho har-chand tahi-dast hai par dil ka ghani hai