mila to hadisa kuchh aisa dil kharash hua wo tut phut ke bikhra main pash pash hua tamam umr hi apne khilaf sazish ki wo ehtiyat ki khud par na raaz fash hua sitam to ye hai wo farhad-e-waqt hai jis ne na ju-e-shir nikali na but-tarash hua yahi to dukh hai burai bhi qaede se na ki na main sharif raha aur na bad-maash hua ho ek bar ka rona to roun bhi dil ko ye aaina to kai bar pash pash hua bala ka habs tha 'sajid' hawa ki basti mein chali jo sans ki aari main qash qash hua